Tuesday, April 04, 2006

तीर खींचता है

Gali ka kutta
raat me bhaunk-bhaunk
chaukasi karta
fir bhi
patthar khaata hai....
dande khaata hai..
par dum hilaata hai...
dard asahya ho jaaye
to gali ke kone baith
rota hai, aansu bahata hai|

Gareeb ki beti
ghar ke chulhe se lekar
khet ke fawade tak
do joon ki roti me haath bataati hai|
deen juwani ke
samajik 'farz' nibhaati,
aabru ke fate cheetharo.n
ko samete,
byahta ho jaati hai...
ab deh ke das tukdo.n ki
bhookh se wo jalti hai..
par, mare bhi to kaise abhaagin?
raat bhar jagi aankho.n
se aansu nigalti hai...




Ghar ki gaay
maa ke sammaan ke saath,
ghar aati hai;
jitna prem leti
utna hi doodh deti hai|
chup-chaap sab kuchh
sah leti hai,
par apne bachhde ko
bhar pet doodh na de sakti hai...
rambha-rambha shayad
vidhata ko dard ke geet sunaati hai....

Kavi ka hriday,
akshay-prem liye
preet ke geet lutaata hai;
par pathharo.n ki basti me
jab angin baar chotil hota hai...
vidhaata se poochhta hai-
aisi nirmam duniya kyun banayi?
ye duniya banani hi thi to,
mujhe kyun banaya?
inhi prashno.n ke maun me..
apni peed likhta hai...
vyatha-sarit ke teer khinchata hai...
teer khinchata hai|

8 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. Ohh man..what a blog...what a blog...this has to be one of the best of our compositions...absolutely amazing...finally Vivek shows his class and comes up with his magnum opus..well all i can say is that at this rate u can give the Bachchhans, Niralas,etc. a run for their money..keep it up dude

    ReplyDelete
  3. bhai! ye to kuchh nahi bahut jyaada ho gaya......
    but, yes. thanks for ur encouraging words....i believe they're much better than the ones they've appreciated!

    ReplyDelete
  4. kya kahne janaab ke...I totally agree with prateek...look at the variety in writing....another great writer in making...keep blogging.

    ReplyDelete
  5. sahi hai Vivs....aakhir kavi ki kashish ubhar kar saamne aayi hai..maine tumhare jitne kavitayen padhee hain yehi sabse sahi hai..aur yaar pics wagere laga kar to usse kuchh sanwaar rahe ho!!!..tumhara peechla blog bhi sahi lagi..lekin wahan comments ke column par kuch chaos dikhi...great going IAS!!!

    ReplyDelete
  6. Thanks a lot Satpathy dear and Ritesh for your lavish appreciations. Thats serving as fuel for no cost!

    ReplyDelete
  7. Bahut achchi kavita hai..keep it up !!!

    ReplyDelete
  8. @ i-said-it aka vixy bhai
    thanks sir!

    ReplyDelete