Abhi pichhali baar jab ghar gaya tha,
'Hindustan' ke panne palatate-
malao.n se lade ek but par najar atak gayi...
tasweer thi kisi mahashay ki;
aur hum bhi tasweero.n me kho gaye-
mala to bajrangbali par chadhakar
maa janmdin par mandir me pahnaya karti thi.
aur haan, bhaiya-dooj aur rakhi par
behno.n ne bhi pahnaya tha....
par bas ek maala, itane nahi
Jaroor kisi bhagwan ki moorat hogi-
par bhagwan ki murat, sadak par
itani bhid ke beech !
Jarur koi neta mahashay honge-
par surat se umra kuchh bees-ek ki lagti hai...
fir to neta ho hi nahi sakte!
Is umra me to aapradhik pristhabhumi banati hai
Chalo tasweer ke neeche ka likha padh hi daalte hain-
itane bhi bekaar nahi hote hindi akhbaar
....Chhatra...Bhartiya Praudyogiki Sansthan-
America se aaya bulawa, desh ka gaurav mahan!
Kayi vishvavidyalayo.n ne bulaya-
local netao.n ne inke gungaan me
bhashan bhi sunaya-
"Namak-tel bechkar inke pita ne
inke adhyayan ka bojh uthaya;
Das dino.n me America jaane wala hai ye ladka-
isane maa-baap ka, samaaj ka hi nahi
is mitti ka hai maan badhaya"
Maine kayi baar socha gaurav, maan par
ant me ise hindi patrakarita aur bharatiya rajniti samajh kar chhod diya
Par, kaano.n me ye kisake shabd goonj rahe?
Mera ek mitr hai-
kuchh dino.n ki training par videsh gaya tha..
lautane par bas yahi kahta hai-
"Hindustan rahne ki jagah nahi,
na bijali sahi, dhang ki sadak bhi nahi-
upar se log aise, system aisa.
Foreign ki baat hi kuchh aur hai-
jo chaho khullamkhulla kar sakte ho,
kya zindagi hai, paise bhi beshumar hain."
Bas mahino.n ki doori hai ab
usake aur usake gantavya ke beech
Ye kin awaajo.n se mere kaan
shoonya hue jaa rahe hain-
"Yahan ki politics aisi...."
"yahan ka system aisa..."
"yahan ke log aise...."
"yahan ki sadakein aisi...."
"yahan ki........"
ye aawaajein jaani-pehchaani lagti hain-
.......maine pehchana-
ye shabd usi bhid ke hain
jo isi gantavya ki aakankshi ho chali hai
Durbhagya kiska kahoon-
shayad fir malao.n ka hi hai,
kyunki desh to waise bhi mayane nahi rakhta