Tuesday, September 13, 2005

Mid-Sems Aa Gaye Hain

Humari kharagpur nagariya ke darshan ki aapki ichha ho to aap yahan parikshao.n ke dauraan aayein- aapke antar se ye aawaaj jarur nikalegi ki dhanya hai wo dharti jahan aise sansthan hain. Mujhe lagta hai ki isi baat ko maddenajar rakhte hue yahan ke prasashan ne kuchh aisi vyavastha banayi hai ki yahan supplementary exams counselling ke samay hi hote hain.
Baat first year ki hai, supplementary parikshayein chal rahi thi.n- counselling ke liye aaye abhibhavakgan bhi MS hall me hi thahre hue the. Raat ko bhojan karne ke baad abhibhavako.n ki toli jab lauti to kamre ke bahar ke passage me ek-do chhatra notes liye tahal rahe the- kal subah unka chemistry ka paper tha Ab yahan to taiyaari aakhiri raat me hi hoti hai Ek abhibhavak joki usi block me ruke the, jab subah uthe to unhone dekha ki jo ladka unhe raat me mila tha vo abhi bhi padh raha tha--usake tahalne ki gati badh gayi thi bas Unse raha nahi gaya, poochh hi baithe-" Ye batao bete! kya yahan saal bhar log aise hin padhte hain?"
Juwab mila " Nahi uncle! abhi to chhutti ka samay hai, semester me to isase bhi jyaada padhai karte hain log."
Unhone kaha-" Beta! Kharagpur ke baare me suna to bahut tha aaj dekh bhi liya Ab to main apane bete ko yahin bhejunga."
Aur agar wo kgp is mausam me aayein to aaj bhi utane hi khush honge kyunki saal ke is waqt yahan passage me tahalne waalo.n ki sankhya achanak badh jaati hai Chaaro.n or aisi shanti chhayi milegi maano rishigan sadhna bhang hone ke dar se kolahal ke srot band kiye baithe hain..... yahi vo samay hai jab aapko vishwa sangeet ki poori diversity ka swaad nahi milta Kamro.n ki battiyaan aapko poori raat jalti dikhengi....bas kamro.n ke andar jhaankane ki gustaakhi na kijiyega Teen-paanch ke tole agar mil jaayein kahin to bas unki baat pe gaur farmaaiyega- baat exam se shuru hokar campus aur fir Iraq ke mudde par kab pahunch jaayegi isaki koi guarantee nahi Aamtaur par guftagu campus ki kahaniyo.n par hi hoti hai aur usame bhi kisi kahani me ladkiyo.n ka jikra ho to kya baat hai....
Isake baad.....Canteen Raat ke dhai baje hain-' Aseem da! Ek ta Moghlai.' " Aaschhe dada."
" Are yaar ye saala NK kya kya padha diya hai....saale ko padhana to aata nahi aur course duniya bhar ka cover kar deta hai....Abe grade kaisa deta hai. Pass to kar deta hai na."
"Grade to ganda deta hai par fail kisi ko nahi karta."

"Chal peace hai fir.(he'll change the topic now)"
"Bandiyon.n ko bahut sahi grade deta hai be. Last year teen thi.n teeno.n ko Ex."
"Haan yaar! yahan to Prof saare bhi frust hi hain................... Abe jaanta hai aaj maine padha ki bandiyo.n ko patana ho to unhe ignore karna chahiye"
"Are yaar tujhe pata hai ki tu agar bandiyo.n ki company me jaaye to wo tujhe notice bhi nahi karti.n...."
Maine kaan gaane par laga diya-
" Saj gayi.n aaj saari dishaayein, khul gayi.n aaj jannat ki raahei.n....."
Maine dekha canteen me ab khade hone ki jagah bhi nahi thi.
"Lo bhar gaya Canteen bhi, mid-sem hai fir rang laya....."- mere man ne khud-bakhud panktiyan bitha di.n us dhun par.
......
......
.......
group ke teeno.n ab poore flow me the-
"Abe ye bata ki raja-maharajao.n ke time me unhe jo kuchh bhi man karta tha kar dete the- unhe koi rok nahi sakta tha?"
"Haan be maine bhi suna ki abhi jo Nepal ka rajkumar hai usane kayi.n logo.n ko apni car ke neeche daba diya aur usako kuchh nahi hua"
"Abe bahut bada **** hai vo. ....."
"Par jab se wahan democracy aayi hai aisa situation nahi hai...."
"Haan wahan ka president kaafi kuchh apne president jaisa hai......."
"President pe bahut kuchh depend karta hai yaar!"
"Ab dekho jaise KR Narayanan kaafi active tha...."
"Abe ek gult bhi to bana tha president?"
"haan wo Deve Gauda...Hardan Halli Dodda Gauda...koi achha naam mila tha isako bhi"
"Abe lekin wo to Prime Minister ke liye khada hua tha na?"
"Haan sahi bol raha hai....Paratha idhar...haan mera hai......vo to Prime Minister tha....."
"Abe but prime minister khada nahi hota hai. aisa koi election nahi hota hai ki jeet jaaye aur PM ban jaaye...."
"Haan vo to party khada karti hai......."
Ab aapko pata chal gaya hoga ki yahan general knowledge me bhi log dhurandhar hain.

Humne Canteen se jaldi-se-jaldi nikalna munasib samjha.... gatagat doodh piya aur nikal hi rahe the ki kaan udhar dena pada-
"........main jaake journal section me so gaya. AC itna thandha tha....."
"thodi der me to aur thandha ho jaata hai........AC hota bhi isiliye hai yaar- thandha karne ke liye....."
"Abe lekin ye kaisa AC ki thande me thandha kar de....AC ko to saman temperature maintain karna chahiye....."
Mujhme aage sunane ka dhairya na tha...main nikal pada yahi sochta hua "chalo yaar! Mid-Sem aa gaye hain."

Tuesday, September 06, 2005

Shikshak Diwas

Ek chhota bachha- yahi koi 6thi-7vi me padhta hoga- hath me sazawat ke samaano.n se bhara polybag liye Patna ke Gandhi Maidan me apne joshile kadmo.n se chahalkadmi kiye ja raha hai. Wo subah ki sair pe nahi nikla hai auro.n ki tarah...waise bhi is safed-neeli poshak ki kaid me use itna waqt hi kahan mil sakta tha. Subah 7 baje tak taiyaar hokar auto stand ke liye nikal jaana, wahan se do rupaye ki auto ki sawari- golghar jaata to baansghaat aa jaata aur fir uska school. Par aaj usake peeth par baste ka wajan jara kam hai, haath ke wajan ne usaki bharpaayi kaafi hadh tak kar li hai aur lagta hai jaise baste me wajan jitna kam hua hai, usaki muskaan me jud gaya hai.
School pahunch kar wah poore utsah ke saath apne kaksh ko sajaane me lag gaya hai aur lage bhi kyun na, aakhir apne varg ka monitor hai aur aaj Shikshak Diwas hai. Ye diwas usake liye mayane rakhta hai chaahe Shikshak ho ya Bhakshak. Kyunki, is din saare shikshak naram tewar ke saath aate hain- jara si gujaarish par na padhaane par raazi ho jaate hain aur fir latifo.n par jor-aajmayish shuru karte hain. Kshatro.n ki hansi aur kisi cheez ka nahi balki unki kritagyata ki parichayak hai. Is din gaane-sunaane ke mauke bhi aate hain- is aruchikar jagah me isi din kuchh ruchikar hone ke halaat paida hote hain aur mishthann ka bhi prabandh hota hai.
Aaj vo 6thi-7vi se 10vi-12vi hote hue college me aa gaya hai. Smriti ke galiyaaron me use ikke-dukke vyaktitva hi milte hain, jo shikshak bhi the aur sammanya bhi, priya bhi. Fir bhi shikshak diwas ke utsaah me koi kami nahi hoti thi- ek utsav se kam nahi hota tha ye din. Kayi dinon pahle se hi ghar par 5 sitambar ke liye paise nikalwaane ki jugat shuru ho jaati thi aur utane hi dinon pahle se ulti ginati bhi shuru ho jaati thi. Khair, khushi ek aisi cheez hai jispar prashn-chinha laga do to udan-chhu ho jaati hai aur bachpan ke anjaanepan me prashn-chinha sirf kutuhal ke parichayak hote hain.
Pichhale saal humaare vibhaag me bhi shikshak diwas manaya gaya tha. Mukhya aakarshan:
Antakshari, Quiz aur jabardast bhojan. Smriti me bhi bas yahi jhalkiyaan darz hain. Kyunki Shikshako.n ko guldaste aur gift diya jaana to mahaj khaanapoori thi. Waise bhi jinhe samanyataya kayi khoobsurat gaaliyon se nawaaja jaata hai, unhe sammaan bakhshane ke liye dil se izazat badi mushkil hai.
Is saal humaare vibhaag me prashn utha ki shikshak diwas karaya jaaye ya nahi. E-mail bheja gaya. Kuchh vaad-prativaad hua aur phir jab 5 sitambar gujar gaya to humne samajh liya ki- nahi hua. Waise humaare kayi ul-julool diwas manaaye jaate hain, paison ki kabhi kami nahi hoti unake liye par Shikshak Diwas na hua. Dukh nahi harsh ki baat hai. Antakshari, quiz aur dinner ke liye karaana ho to mat karao, kritrim muskaan chehare par laakar guldasta bhentane ke liye mat karao. Agar dil kare to bas ek professor, shikshak nahi kahunga kyunki shikshak aur guru to rah hi nahi gaye hain- rah gaye hain to sirf teacher aur professor jinhe paise ne niyukt kiya hai, bas ek professor ko jaakar prakritik muskaan ke saath Happy Teachers Day kah dena. Jab itna karna kuchh kam lage to Shikshak Diwas manaane ki baat uthana. Unke prati jab tumame prem ka bhaaw aane lage to akele hi Shikshak Diwas mana lena, is poori bhid ko bulaane ki baat mat karna.

Friday, September 02, 2005

Sheershak Kya Doon?

Raat ke sadhe teen baje hain.....aamtaur par ise subah ka waqt maana jaata hai par ab to subah hi raat si lagti hai aur raat ek din. Jindagi me jab andhere ka aisa aalam ho to din kaatna bhi bada mushkil ho jaata hai-agar apni aankhein khole rakho tab. Agar aankhein moonde raho to fir kya raat aur kya din. Par is aankh ne hi majboor kar diya hai baar baar ki apne jhoothe anand ke bulbule ko todata hoon aur bahar nikal aata hoon yatharth ke banjar me! Jahan main khada hoon akela aur meri raah mujhe pukaarti hai- haan wahi raah jise main kuchh pag ka saath deta hoon, use poori ummeed bandhata hoon ki teri sooni kokh ko main us manjil tak pahunch safalta se bhar doonga. Uski aashaayein bhi us pagli birhan ki tarah hai- bas ek hi aahat me jag jaati hai. Par kahan, bas usake chand kadmo.n ko apnaata hoon aur fir usi andhkaar ke jeevan me apna sukh-chain dhoondhane chala jaata hoon. Kya karoon chaaro.n or isi ka samrajya hai, sab andhkaar ke pujaari hi hain. Ek akela main kab tak prakash ka adarsh liye ghoomta firoo.n! Darasal utani taaqat hai hi nahi mujhme ki main is andhkaar ki duniya se khud ko bacha sakoo.n. Taaqat nahi hai, fir bhi us raah ki kokh se safalta ke janm ke sapne dekhta hoon- sirf isliye ki dil me hausale buland hain- koi hai kahin bheetar jo jaane anjaane aawaaj laga deta hai aur fir us sapne ke bina zindagi dikhati hi nahi. Fir main jag jaata hoon- aankhon ka bhaan ho aata hai, aur ye jagaran thaharta hai to main likhta hoon. Par fir agali subah jab uthoonga to dopahri jaa chuki hogi aur meri aankhein bhi- fir wahi andhkaar ka jeevan, fir wahi kshanik sukh ki bhookh. Fir main apne us dil ki dhadkan band kar doonga jisame mere maa-baap, bhai-bahan ka pyaar basa hai. Fir main apane us man ko maar doonga jo ramji ki sumiran me dubota hai. Main kamjor hoon aur main kya har insaan kamjori ki ek murat hai aur jeevan bhar wah isi yatn me laga rahta hai ki kis tarah wo majboot ho. Is sangharsh ka koi ant nahi. Aur agar ye sangharsh na ho to fir prakash aur andhkaar ka dvand hi na rah jaaye, bas shwet hi ho jeevan shyam ka ansh hi na ho. Par jaise hi ye sangharsh band ho jaata hai maano jindagi ruk jaati hai. Agli baar fir jab main jagta hoon, paanch kadam peechhe se mujhe zindagi shuru karni padti hai. Is sangharsh ki den ye shabd- inhi ka aasra hai ki kal jab main aankhein kholoon, chaahe dopahri ho ya saanjh ho, meri aankhein wastutah khuli ho.n.