Monday, December 31, 2007

Tujhe chhod deta hoon..

Zindagi me har manzil meri or tab aati hai jab main rukh mod leta hoon..
mujhe paane ki hasrat usame tab jagati hai jab use main chhod deta hoon..

Khuda Haafiz 007...
Thanks for the T-points in my life and
thanks for guiding me through the right turn each time...
Thanks for giving me the loveliest moments of my life...

Monday, December 10, 2007

Yunhi..

Yunhi saath chalte chalte, mujhase kar tum pyaar gaye ho...
kya jeetna tumko ab ki khud se hi tum haar gaye ho...

Yunhi baaton-baaton me mujhase kar jo sawaal gaye ho..
kyun bhooloon ki juwaab saare muskaano.n se taal gaye ho..


Yunhi milna-julna tera, tujhko kuchh bhi khaas nahi tha...
teri aankho.n ki haan to thi par sindoor mere paas nahi tha...

Yunhi aankhein milaana mat kisi se, ye mushkil asaa.n nahi hai...
tere deewane ko thikana mile jahan fir, koi makaa.n nahi hai...

Friday, December 07, 2007

Let life say...

"Don't peep into the future, it will kill your interest in present and ultimately you."

"Time is as parallel as space, at any point you can move into the other regions called future, past and present. All you need is a move."


"The only thing sensible about becoming something is be something."

"However much you try to stop the stream, if it has the force it will break open. Thats the difference between success and failure, where you mark it as enough!"

Wednesday, December 05, 2007

Khud ke saath chalna magar...

Tab kahan thi tu bata jab dwar khada tha main tere,
aaj khudayi paaon tale to kaise sachhe aamantran tere...

Tab sahaare ki aash thi mujhe, kadam kuchh ladkhada pade the..
ab kyun saath chaloon tere jab chalti duniya peechhe mere...

tere ishq me jag chhoota, main jhootha, sab kuchh loota, par kyun chhodu.n teri dagar
main akela hi bahut hoon is safar me, tum khud ke saath chalna magar...

**************************************************************************
(from a draft last month)

Har nasha utar gaya hai jabse teri aankho.n ka may piya hai..
har basera ujad gaya jabse tune apni baahon me shai diya hai...

Shabd khaamosh hain, awaazein kho gayi.n kshitij se,
main kya bataaun ki teri aankhein kya bolti hain...

Monday, December 03, 2007

Mohabbat hai nahi kuchh bhi...

Chheen lo beshaq gul ki peshagi ka haq humaara,
us khushboo ka kya karoge jo gulshan bikher denge...

Sab kuchh jhonk diya jisame, wo aashiyane ujad gaye...
teri nasheeli aankhon pe mere khwaab saare bik gaye..
izzat bakhshi thi jin nazaro.n ne, ab dekh sharmindagi hoti hai
kyun royein hum ki tere khel me tamaashe ki cheej ban gaye
itani tasalli bahut ki khilauno.n ki numayish teri, hum bhi shareeq hain!


Jhooth ke naqaab se jo tumne sach badal diye..
itani koshish me goya humko hi badal dete|

Mere is mod se jahan ki taqdeer to badal jaayegi
tum kya jaano ki tum kya ga.nwa baithe...

Mohabbat hai nahi kuchh bhi, jaan lo tum bhi
bas itna hai ki do pal ko tera saath achha laga tha|


Naye raaste, naye saathi, naye bhagwaan poojenge tujhe
yaad aayega tujhe kisi ka sapno.n me aana achha laga tha|

Kyun na keh doon us chaand ko benoor ab main,
khuda ko bhi us raat uska chhupna achha laga tha|


Tujhe hatheli par rakhne waale milenge har mod, har mod
poochhna khud se kiski haatho.n me tera haath achha laga tha|


Kyun sochu.n teri aankho.n ki pyaali taqdeer hai kisaki,
main jaanta hoon tujhe bhi us raat doobna achha laga tha|


Lut jaaye sab kuchh, main taa-umra yu.nhi likhta rahoonga
kisi ko do pal ko mera ye taana-baana achha laga tha|

Sunday, December 02, 2007

Let life say.. 12/02/07

"Many fellow countrymen have dumped the dream of the nation for some rosy dreams that eludes them in their youth. We would have been closer an inch per person."