Sunday, August 20, 2006

Sannata











Zindagi me-

Sannaate ko jagah di hai maine….

Sannata-

Jisame main apne vichaaro.n ki

aahat sun paata hoon|

Usake ghunghruo.n ki khanak

dekh paata hoon,

aur taul paata hoon use

apne bachpan ke maapdando.n par|

Kuchh ka sanhaar karta hoon,

Kuchh ka srijan|

Par ye urja shor nahi karti,

Bhang nahi karti-

Sannata!


Zindagi me-

Varan kiya hai maine sannate ka..

Sannata-

Jisme main tumhare vicharo.n ki

gati naap jaata hoon,

Shabdo.n ka prayojan

bhaanp jaata hoon;

Aur dekhta hoon apne

aas paas ek aisa sansaar-

Jo khilwaad hai shatranj ki,

ghamasaan hai moharo.n ka|

Ye nishkarsh par,

kachotata nahi man ko,

Jodta hai-

Sannata!
















Zindagi me-

Gujara hoon main sannate se...

Sannata-

Jisme paao.n neeche

dhool ki karaah suni hai maine,

Preyasi ke julfo.n ki

chhao.n chuni hai maine|

Apne bhoot ki

lajjit aah suni hai maine;

Aur dekhe hain sur

unmatt pranay-kreeda ke|

Ye awaajein-

Goonjti nahi antar me,

Ghol jaati hain-

Sannata!