Thursday, November 29, 2007

Let life say..

Life is in continuous conversation with you. It listens everything you have to say, you hardly reciprocate... don't close your ears when it sends you some signals next time... just let it whisper..

"Journeys of greatest conquests have begun when there was nothing to lose."

"If you want to lead, first follow everyone."

"You might have seen something close being taken away, its just the balancing act of life."

"Success is there only when you stop feeling it."

"When you have to say about it, your achievement is petty."

"Whenever in your life you have the time to look back, you probably have to make a fresh beginning."

"You are truly doing it only when you forget why you are doing it."


"If you are comfortable with yourself, you are comfortable with the world."


Darling! keep whispering into my ears... :)

Wednesday, November 21, 2007

Jindagi kabhi...

Jindagi kabhi chhoti baaton ka tamasha bana deti hai...
hansati roshni ko bhi jaane kyun ruaansa bana deti hai...


Ek raat mein sapne samet to liye the humne...
bhool kyun gaye ki unki jindagi ka jimma apna hai...

Tumhe lagta hai itani chaandani raatein bas mere liye kyun...
mujhe teri aankhon me doobane ko umra kam lagti hai...

Bhoolate honge log duniya kisi ki chaahat mein,
main teri mohabbat mein duniya badalne ko hoon...

Jhooth kaho ya sach, haan bolo ya naa kehna...
kaano.n me mere par tum hardam kuchh kahte rehna...

Monday, November 12, 2007

Tu aur Main

[This is continuation of 'Tu' (blog dated May 01, 2007).]

Tumhaare aur mere darmyaan jo sach tha
mere liye wo dulhan thi
jiska ghoonghat kabhi auro.n ke liye nahi utarna tha|
Tumhe to kuchh bhi yaad nahi,
poochha tha tumne-
'Gudiya samajhte ho mujhe?'
Meri haami ke uttar me tum bole -
'Tod doge, handle karna to aata nahi hai|'
Sach me nahi aata tha so keh gaya-
'Itani hifazat se rakhoonga ki chot bhi na lage|'
Main tumko par tum to
rishte aur mohabbat ko handle na kar paayi|


Tumhaare liye raat bhar haathon me haath dhare baithana
bas kisi ki 'madad' ho,
mere liye ek shapath hai|
Tumhaare maa-pitaji ko shaadi ke liye
kaise manaunga, aankho.n me aankhein daal ye poochhana
tumhaare liye sirf 'curiosity' ho..
uttar ke mere shabd meri pratigya the|
Twacha ka chumban ho sakta hai
tumhaare liye sirf ek makhmali ahsaas ho...
Anaadi main hoon,
ise tumhaari aajeevan raksha ka adhikaar samajh baitha|
Ye jaanate hue ki koi tumase pyar karta hai
usase milate rehna, tumhe 'help' bhar thi..
main kya karoon ki
'tumhe main sweekar' samajh baitha|


Vo teen shabd jo ab prem-prastaav
ka paimana ban gaye hain...
yaad hai tumhe ki usake uchharan mein
main kayi din tak atka tha
ye kehkar ki ye shabd mere liye
ek hi baar ke prayog ke hain
main aajeevan inka punarprayog nahi kar paaunga|
Tum bas keh deti thi-
'tumhe dar kis baat ka hai?'
Mujhe dar shayad isi ka tha
jo hashra ab mera hua hai|
Tumhaare liye wo shabd aisa prastaav the
jise jeevan me jab chaaho thukra do|
Mere liye meri smriti ke shesh rahne tak
meri bhism-pratigya hain|
Vo shabd baar-baar duhraaye jaane par
bas tumhe naari-bodh se abhibhoot karte ho.n,
Par, tumhe kya bodh ki meri pratigya ko
vo aatma ke tal tak le gaye hain|


Haathon ke sparsh se aur
aankho.n ki bhasha se meri kavitaayein sunana
tumhe tumhaare youvan ka maan bhar ho,
mere liye vo aisa pavitra paavak hai
jise saakshi maan tum sang shabdo.n ke saat fere liye|


Tumhaari practicality aur maturity ne
ho sakta hai zameer ko giravi rakh liya ho|
Par main kya karoon ki tumhaari baatein, mulakaatein
mujhe aajeevan kisi ka nahi hone dengi|
Yaad karo apane shabd-
'tumhara kya hai, tum to bhool jaaoge'-
uttar me aansuon ne tumhe aakhiri saans tak ka vachan diya tha|
Tumhaare liye khel ka maza kam ho gaya hoga
par main vachan se kaise peechhe hat jaaun?
Tumhaare us aatm-bal ka to main prasanshak hoon
jisane ulta mujhe hi apradh-bodh se bhar diya|
Par mere us apradh-bodh ka to socho
jisase main bhavishya ke kisi bhi prem me bhar jaaunga|


Tumne mujhe dukh diye ho.n bhale
par ye kavita bhi di hai|
Aur meri peeda kavitaao.n ke alag-alag roop dhare
jab tak duniya ke aakhiri shakhsh tak na pahunche
jaag-jaag poori umra to main kaat doonga,
kuchh raatein to tumhe bhi unke sawaal jagaayenge|


Tum ladki ho, isliye tumhaare aansuon ki
keemat beshaq jyaada hai...
par jab tak sach aur mohabbat ki aakhiri saans bachi hogi
duniya mein,
meri baat ka bhi asar hoga|

Tuesday, November 06, 2007

Just one word...

I was moving along my path..
just thinking that you 're always there...
i had some dreams in my mind..
in my heart, only you were..

Just at a point, i turn back
and find you 're not around..
all journeys, all destinations..
all my dreams, have lost meaning to me..
having quit everything
i'm returning to thee...

while my days are blank
and my nights are laden with your thought..
while my fingers go cold..
and pain doesnt yield tears anymore...
i just ask you...
where is my fault,
honey, where is my fault?

Let it be all mine..
let it be all my fault..
from you, may i have a word..
before i die, just one word.


yours
vivek