Muskaan humaare chehare pe udhaar kisi ki ho to bole...
hum to yaaro.n ke yaar, yaari kam ki ho to bole..
duniya jeeti hai boli se, par ek din jo tum naino.n se bole..
bhool gayi.n bhashayein saari, ab bolein to hum kya bolein..
Wednesday, October 24, 2007
Wednesday, October 10, 2007
Maut jab jindagi-si lagti hai...
Jid me apni tum bhi jeete, jid me apni main bhi jeeta
par darmyaan humaare mohabbat haar gayi hai...
Tumhaari yaad ke sahaare kuchh din jee lenge aur
ye soch bhi ab maut se panaah maangati hai..
Kya daur tha ki shaamo-saher tumhe yaad karte the..
ab har pal tumhe bhool paane ki fariyaad karte hain.
Tum kya jaanogi kabhi meri mohabbat ko
tumne kya kisi chaatak ki pyaas jaani hai..
Tum kya jaano kis jaldi me tha us raat chaand
jab teri haya ka ghoonghat maine utaara tha...
Tum kya jaano us raat chaand ki chaadar tale
tum upar bheengi thi, main antar bhiga tha..
Aakhiri saans se jab tootati hai jindagi..
bujhta-sa diya jhonke se lad jab jal jaata hai..
halak ko aakhiri boond ki jab ho talash..
thoda pahunch paaogi meri mohabbat ke paas...
Raat jab khud ko din me dekhti hai..
andhera jab roshni ko khudi maanata hai..
maut jab jindagi-si lagti hai..
waqt jab luka-chhipi ki ginati-sa lagta hai..
wo upar ka tamashiya muska deta hai
jab mujhe ye poora khel meri mohabbat sa lagta hai...
Noor tere chehare ka kya mujhe lalchayega
kayamat tere badan ki kya mujhpar kar paayegi..
tere honthon me kahan mujhe sharaab hai
main to tere khayal bhar me doob jaata hoon...
Nasha siyasat ka ghazab, nasha daulat ka ghazab hai...
zindagi ki mauz ke mujhe tareeke hazaar hain...
tujhe yaad bas isliye karta hoon mere dost..
ki tujhape mera ek chumban udhaar hai..

Subscribe to:
Posts (Atom)