Zindagi me-
Sannaate ko jagah di hai
Sannata-
Jisame main apne vichaaro.n ki
aahat sun paata hoon|
Usake ghunghruo.n ki khanak
dekh paata hoon,
aur taul paata hoon use
apne bachpan ke maapdando.n par|
Kuchh ka sanhaar karta hoon,
Kuchh ka srijan|
Par ye urja shor nahi karti,
Bhang nahi karti-
Sannata!
Zindagi me-
Varan kiya hai
Sannata-
Jisme main tumhare vicharo.n ki
gati naap jaata hoon,
Shabdo.n ka prayojan
bhaanp jaata hoon;
Aur dekhta hoon apne
aas paas ek aisa sansaar-
Jo khilwaad hai shatranj ki,
ghamasaan hai moharo.n ka|
Ye nishkarsh par,
kachotata nahi man ko,
Jodta hai-
Sannata!
Zindagi me-
Gujara hoon main sannate se...
Sannata-
Jisme paao.n neeche
dhool ki karaah suni hai
Preyasi ke julfo.n ki
chhao.n chuni hai
Apne bhoot ki
lajjit aah suni hai
Aur dekhe hain sur
unmatt pranay-kreeda ke|
Ye awaajein-
Goonjti nahi antar me,
Ghol jaati hain-
Sannata!