Sunday, August 20, 2006

Sannata











Zindagi me-

Sannaate ko jagah di hai maine….

Sannata-

Jisame main apne vichaaro.n ki

aahat sun paata hoon|

Usake ghunghruo.n ki khanak

dekh paata hoon,

aur taul paata hoon use

apne bachpan ke maapdando.n par|

Kuchh ka sanhaar karta hoon,

Kuchh ka srijan|

Par ye urja shor nahi karti,

Bhang nahi karti-

Sannata!


Zindagi me-

Varan kiya hai maine sannate ka..

Sannata-

Jisme main tumhare vicharo.n ki

gati naap jaata hoon,

Shabdo.n ka prayojan

bhaanp jaata hoon;

Aur dekhta hoon apne

aas paas ek aisa sansaar-

Jo khilwaad hai shatranj ki,

ghamasaan hai moharo.n ka|

Ye nishkarsh par,

kachotata nahi man ko,

Jodta hai-

Sannata!
















Zindagi me-

Gujara hoon main sannate se...

Sannata-

Jisme paao.n neeche

dhool ki karaah suni hai maine,

Preyasi ke julfo.n ki

chhao.n chuni hai maine|

Apne bhoot ki

lajjit aah suni hai maine;

Aur dekhe hain sur

unmatt pranay-kreeda ke|

Ye awaajein-

Goonjti nahi antar me,

Ghol jaati hain-

Sannata!

3 comments:

  1. Good.. jeevan ki bahoot chhoti chhoti baate soch kar likhi hai..

    ReplyDelete
  2. Bahut hi achchha likha hai vivek bhai apne.
    Sannate ki sarthakta ewam nirarthakta dono hi saamne aayi hai.
    awesome.

    ReplyDelete
  3. thanks vikas is baarik tippani ke liye....

    Tanha kavi! hum aapke sateek vishleshan ko tahedil se lagaate hain aur aapka shukriya ada karte hain.

    ReplyDelete