Monday, December 03, 2007

Mohabbat hai nahi kuchh bhi...

Chheen lo beshaq gul ki peshagi ka haq humaara,
us khushboo ka kya karoge jo gulshan bikher denge...

Sab kuchh jhonk diya jisame, wo aashiyane ujad gaye...
teri nasheeli aankhon pe mere khwaab saare bik gaye..
izzat bakhshi thi jin nazaro.n ne, ab dekh sharmindagi hoti hai
kyun royein hum ki tere khel me tamaashe ki cheej ban gaye
itani tasalli bahut ki khilauno.n ki numayish teri, hum bhi shareeq hain!


Jhooth ke naqaab se jo tumne sach badal diye..
itani koshish me goya humko hi badal dete|

Mere is mod se jahan ki taqdeer to badal jaayegi
tum kya jaano ki tum kya ga.nwa baithe...

Mohabbat hai nahi kuchh bhi, jaan lo tum bhi
bas itna hai ki do pal ko tera saath achha laga tha|


Naye raaste, naye saathi, naye bhagwaan poojenge tujhe
yaad aayega tujhe kisi ka sapno.n me aana achha laga tha|

Kyun na keh doon us chaand ko benoor ab main,
khuda ko bhi us raat uska chhupna achha laga tha|


Tujhe hatheli par rakhne waale milenge har mod, har mod
poochhna khud se kiski haatho.n me tera haath achha laga tha|


Kyun sochu.n teri aankho.n ki pyaali taqdeer hai kisaki,
main jaanta hoon tujhe bhi us raat doobna achha laga tha|


Lut jaaye sab kuchh, main taa-umra yu.nhi likhta rahoonga
kisi ko do pal ko mera ye taana-baana achha laga tha|

No comments:

Post a Comment