Saturday, February 18, 2006

Suraj Ki Raat



Dekho suraj jo ast hua kaise ithlaate hain taare,
Sabme jagmag ki hod lagi,
Kaun badhe kisase aage
Jugnu bhi jag aaye hain,
Yahan dikhein kabhi wahan udein
Maano taro.n ke pankh lage
Ek chand hi hai sajjan
Pakhwade bhar chhup jaata hai,
Aur kabhi amawas ke jehan
lupt, vinamra, poojya ban jaata hai
In taro.n ki yahi haisiyat-
So jaao inko ginate, sunate
Kal prabhat ki poorva disha
jab usha-rakt-ranjit hogi,
un kirano.n ke madhurim aalok me tum punah satya apnaoge-
Nav-aabha se sajjit surya ko swatah shish nawaoge.

2 comments:

  1. back to back blogs.......lagta hai midsem tumpe chha raha hai,apna asar dikhla raha hai....waise gud job!!!

    ReplyDelete
  2. bahut aacha likha hai .. Great poem

    ReplyDelete