Naye din ki khaatir me lage hain log, main to gujra hua saal hoon.......
Tum kar lo accept to meharbaani tumhari, main to rejected maal hoon...
Kuchh hunar hi nahi
ki is aasmaan me chamak jaaun
guitar ke taaron se apni patati nahi
aur dhairya kahan jo seekh paaun
gala aisa besura kambakht ki
gaa doon to pit jaaun
koi drum to koi synth
god-like bajaata hai
bajaane ke naam par
main bas kar pata kartaal hoon
log shankar ki dhun pe machalte hain,
main to euphoria waala
tum kar lo accept to meharbaani tumhari, main to rejected maal hoon...
Padhne ka kissa aisa ki
bas IIT aane ke liye padha tha
‘Ek baar nikal jaaye fir aish’
yahi soch inorganic rata tha
electrical aur programming ne
aisa palatwaar kiya ki
mugne se yaari chhut gayi
aur ab aalam ye hai ki gujarta minute
bhi kahta hai- ‘main saal hoon!’
poochh bas nahli, atthi ki yahan
main to chhaggi behaal hoon…
tum kar lo accept to meharbaani tumhari, main to rejected maal hoon...
Hall ke maai-baap ke funde
mujhe start se bakwaas lage
aur hum tempo waale kaamo.n
me shuru se darkinaar rahe
Gymkhana ke jo bhi armaan jage
hall waalo.n ne kaat liye
apni bhalayi dekh hum bhi
is mainstream se bhaag liye
jaise taise zindagi kati
aur ab budhha, paanchwa saal hoon
hall, gymkhana ke bade bade god yahan
main to 2nd year se hi be-hall hoon..
tum kar lo accept to meharbaani tumhari, main to rejected maal hoon...
Sach maano to mujhe
ye duniya jhoothi lagti hai
apne matlab saadhne me lagi
ye bheed pakhandi lagti hai
hunar bas itna sa hai
ki jab aankho.n me aansu honge
tumhaari muskaan ban sakta hoon
aage-peechhe tumhaare mandara nahi sakta
par jaan lo ye tum ki
jab aanch aayegi tumpe
to ye bheed kat legi…
faulaad ki tarah ad jaayegi jo
main wahi dhaal hoon
tum kar lo accept to meharbaani tumhari, main to rejected maal hoon...
macha diye guru... kgp lingo ka itna gazab istemaal main aaj tak nahin dekha...
ReplyDelete'jab aanch aayegi tumpe to ye bheed kat legi…'
huha...
macha diye guru(maine yahi sochke comment likhne ka man banaya tha,ab copy na karke ka sochke piche nahi hounga)!!!awesome...hindi mein dekhne mein aur accha lagta....puri kgp lif ka nichod nikal diya akya aapne? :)
ReplyDeletegajab tha waise
Macha Diye Guru!!!....ek dum apne type ki kavita hai....fundoooo!!!
ReplyDeleteOpening line kafi achchhi hai.. par yaar, baad mein..:(
ReplyDelete@anonymous = Vikas Patel :-)
ReplyDeleteMacha diye Guru(part4).. (kya karen aur koi bhi complement is poem ke liye chhota pad jata :) )
ReplyDeleteWaise rejected ke bare me to pata nahi lekin aapki ye kavita MAAL hai isme koi shaq nahi hai
Bandhuvar!
ReplyDeletebahut bahut shukriya... waise main ii ummeed me hoon ki ye kavita accept ho jaaye to hum bhi 'accepted maal' ban jaayein!
@anonymous
ReplyDeleteyes...true.kyunki opening lines aur beech ki kuchh lines hi base hain..jispe ye poem frame ki hai....minimmum time me karna tha...so game thoda makh gaya hai.....will reframe it asap......
@Tapas
thanks bedu!
@arunabh
Thanks.
@gomzi
thanku!