Friday, May 04, 2007

Is jahaan ki jaan tum ho..

Raat Ghalib aaya tha khwaab me... kahne laga- yu.n to zamana hua mujhe gujare hue par mehfilo.n me ab tak jaane kyun mujhe hi yaad karte hain... kuchh der sukoon chahta hoon dost!

Usake khwaab kuchh nishaan chhod gaye hain kagaz par.....

Shaam jab teri yaad aayi, taara ek tha aasmaa.n me

raat ko jab tu mili, chaand do the is jahaa.n me..


Do pal ko tham jaaye waqt jab tu ho saamne,

kar liya hai sauda khuda se tamaam umra ka|


Tu mujhe mili, jabki teri sifarishein liye sheikh kayi hain,

khuda ne mana hai- ye meri ibadato.n ka aatank hai|


Swarg se doot aa gaye hain tera naam itni baar humne liya,

ye dekhane ki kahin dharti par fir naya khuda to nahi hua..


Jo uthati hain mehfil me wahwahiyaan aur kahte hain log-

ye shayar mashoor bahut hai..

Meri muskarahat yehi kehti hai- tumne abhi dekha kahan

us pak-badan me noor bahut hai…


Geet tum ho, ghazal tum ho...

may bhi tum ho, main bhi tum ho..

Ram se ramzan tak,

Aarti se azaan tak,

bhog se nirvaan tak,

is jahaan ki jaan tum ho...


8 comments:

  1. ठाकुर जी आप gr8 हो । आप ने तारीफ़ तो बहुत सही की है उस मेहबूबा की लेकिन हम भी कह देते हैं
    फूल की पखुडियों पर , चैन से वो सो ना पाये ।
    जग उनका हो गया , वो किसी के हो ना पाये ।

    इतनी तारीफ़ ना करें तो ही अच्छा है वरना इन लडकियों के भाव और बढ जाएँगे ।
    वैसे लिखे मस्त हो ।

    ReplyDelete
  2. hmmm... dum hai!!!

    ReplyDelete
  3. @praveen
    Miyan! bhavnao.n ko samjho... bhaav ko rahne do...
    bahut khoob likha hai aappne bhi
    aur hum yahi ummeed karte hain ki har koi kisi ka ho jaye aakhirkaar..
    Shukriya!

    ReplyDelete
  4. kuch likhe hai vivek, macha diye hai, sahi me koi mana nahi kar payegi, kisi ko suna kar to dekhiye........

    ReplyDelete
  5. Are koi sunane ke liye taiyaar ho tab to....

    ReplyDelete
  6. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  7. Miyan praveen.... Mohabbat ke chiraag se to duniya ka andhera door hota hai..... Hum Vivek ji se poori tarah sehmat hain....

    "In aankhon ki angdai se
    jeena mushkil ho jata hai
    teri yaadon ki tanhai main
    peena bhi bismil ho jata hai"

    (unpublished stanza of "Bhuvan Sundari" )

    Vivek ji bahut mast imagination hai yahan par.....

    "Swarg se doot aa gaye hain tera naam itni baar humne liya,

    ye dekhane ki kahin dharti par fir naya khuda to nahi hua..."

    Dil khol ke wah-wah karni padegi....phir bhi kam hai....

    Vivek ji keep going.... Is mohabbat ke chiraag ki roshni ki sakht jaroorat hai....

    ReplyDelete
  8. @Ramji

    Bahut bahut shukriya aapki pratikriya aur in khoobsurat panktiyon, dono hi ke liye...

    aur poori duniya ko jaroorat hai isaki.. mohabbat ki mashal har gali-nukaad me jalti rahe... kahi dukh ka andhera nahi aa sakta...

    ReplyDelete