Tuesday, May 01, 2007

TU


Pata nahi tujhase kitna pyar karta hoon main

par jab tu saamne hoti hai to

dil chahta hai ki waqt tham jaaye..

aur tu yunhi saamne rahe aankhon ke|

teri muskarahat pata nahi kitani achhi hai..

par jab wo hoth hansate hain

to lagta hai koi apna

aaj barson baad mila hai…

koi sach ki murat ban padi hai..

ghane badal chhante hain, chaand khila hai…


Tere bina main kitna jee sakta hoon

jaanta nahi ..

par itna jaanata hoon ki

tere har sparsh ki pavitrata

mere hriday me chubhan deti hai

aur teri narm hatheli ab bhi sparsh me zinda hai,

Aakhein moond loon

to tujhe dekh leta hoon,

Khuda ka naam loon

to tera naam pata hoon|



Tu mohabbat hai meri- keh nahi sakta…

Par tere saath gujare waqt

itane apne se the ki kabhi khone ka dar nahi tha|

Aur ab jab main waqt

ki dahleej pe khada hoon-

to tere na hone ka dar

kuchh pagal sa karta hai mujhe...

Meri ummeed is baat par nahi

ki tu mujhe pyar karti ya nahi..

Meri ummeed is baat par hai

ki teri kaya yu hi pavitra rahe…

tu chahe jis dil me rahe...

tu khush rahe, khushiyaan bikherti rahe...

aur ye baat tujh tak jaaye ki

maine tujhe in nazaron se dekha hai|


Mere ye shabd tab na nikal paye

jab tera saath tha..

kyunki main is ahsaas mein khoya raha ki

tu meri hai, mere paas hai...

main teri muskurahat,

teri jhuki palko.n ki bhasha,

aur tere sparsho.n ke prashn…

isliye anuttarit chhod aaya ki…

main unke vaibhav me mugdha tha|

Itna mugdha ki us haath ko thaamne

ka pralobhan nahi aaya..

itna lupt ki tere tootane

ka dar nahi aaya..



Ab jab waqt ka ye mod

mera tamasha bana chuka hai..

aur teri yaad dard ki

dahleej tak jaa chuki hai…

bas mere ye shabd mere saath khade hain..

aur in shabdo.n ke siwa kuchh

shesh bhi nahi…

kyunki teri yaadein itni duhraayi.n

ki unme kuchh shesh hi nahi…

In shabdo.n ki pukaar

tum tak pahunche to pukaar lena..

Kyunki main to wo awaara hoon..

jo tera na hua to kisi aur ka ho jaaunga..

aaj tu kah de to tujh par mar jaaunga...

kyunki main to wo sitaara hoon

jo aaj tumhaari zindagi me ast ho jaaun

to kal kisi aur ki zindagi me nikalunga..

nayi roshni bikherunga...

par tum kya jaano ki

is sitaare ko bhi ek thikaane ki talash hai|



Mere hastakshar lekar kya karogi

Meri kavita hi meri pehchaan hai

Saunpata hoon tumhe-


4 comments:

  1. "Par Tum Kya Jano ki
    is sitare ko bhi ek thikaane ki talash hai........."

    Hope ye thikana jaldi mile.....Aur Bhaarat ki Raajneeti mein ek naya sooraj uge..... :-)

    ReplyDelete
  2. Are ye kya Ramji

    Mohabbat ke geet ko rajneet tak kaise le gaye.....

    aur ye thikana mil gaya to, nikalna mushkil hai...

    waise aapke comment ke liye shukriya.

    ReplyDelete
  3. Miyan tareef karnee hogi aapki..... Aapke mohabbat ka geet bhi aapke nationalism se pabhaavit lagta hai...

    Aap chahkar bhi jehan se use nikaal nahin sakte :P.....Aapki wo kavita mujhe yaad hai....."Aur tum kehti ho, main prem karun".......

    Par hum aapke prem-raag ki bhi bharpoor sarahna karte hain..... kyonki shaydad rajneet ka sooraj bina mohabbat ke diye ke, apni raat ka safar kar bhi na paaye.....

    Isi par do panktiyan nikal gayi hain.... keval aapke liye.....

    "Hamdard banne wale ko bhi hamdard ki jaroorat hoti hai.....
    Aadmi koi bhi ho par pyaar ki khwahish to hoti hai....!!!"


    Waise aapki inspiration se hamne bhi ek web-log (blog) par likhna shuru kar diya hai kuchh samay se...... inspiration ke liye dhanyabad....

    ReplyDelete
  4. are bahut bahut shukriya aapka!

    bahut badi baat keh gaye aap in panktiyon me....
    pata nahi nationalism kitni hai.. par apna bas chale to mohabbat ko nationalise kar dein.. bole to national religion bana dein ise..

    aur us kavita se is kavita tak ka safar kaafi lamba hai.. to kayi parivartan bhi aaye hain soch me... aur usi ki jhalak hai meri kavita...
    aapka blog dekha... achha prayas hai...
    jaldi hi comments dunga wahan....

    ReplyDelete