Ek chhota bachha- yahi koi 6thi-7vi me padhta hoga- hath me sazawat ke samaano.n se bhara polybag liye Patna ke Gandhi Maidan me apne joshile kadmo.n se chahalkadmi kiye ja raha hai. Wo subah ki sair pe nahi nikla hai auro.n ki tarah...waise bhi is safed-neeli poshak ki kaid me use itna waqt hi kahan mil sakta tha. Subah 7 baje tak taiyaar hokar auto stand ke liye nikal jaana, wahan se do rupaye ki auto ki sawari- golghar jaata to baansghaat aa jaata aur fir uska school. Par aaj usake peeth par baste ka wajan jara kam hai, haath ke wajan ne usaki bharpaayi kaafi hadh tak kar li hai aur lagta hai jaise baste me wajan jitna kam hua hai, usaki muskaan me jud gaya hai.
School pahunch kar wah poore utsah ke saath apne kaksh ko sajaane me lag gaya hai aur lage bhi kyun na, aakhir apne varg ka monitor hai aur aaj Shikshak Diwas hai. Ye diwas usake liye mayane rakhta hai chaahe Shikshak ho ya Bhakshak. Kyunki, is din saare shikshak naram tewar ke saath aate hain- jara si gujaarish par na padhaane par raazi ho jaate hain aur fir latifo.n par jor-aajmayish shuru karte hain. Kshatro.n ki hansi aur kisi cheez ka nahi balki unki kritagyata ki parichayak hai. Is din gaane-sunaane ke mauke bhi aate hain- is aruchikar jagah me isi din kuchh ruchikar hone ke halaat paida hote hain aur mishthann ka bhi prabandh hota hai.
Aaj vo 6thi-7vi se 10vi-12vi hote hue college me aa gaya hai. Smriti ke galiyaaron me use ikke-dukke vyaktitva hi milte hain, jo shikshak bhi the aur sammanya bhi, priya bhi. Fir bhi shikshak diwas ke utsaah me koi kami nahi hoti thi- ek utsav se kam nahi hota tha ye din. Kayi dinon pahle se hi ghar par 5 sitambar ke liye paise nikalwaane ki jugat shuru ho jaati thi aur utane hi dinon pahle se ulti ginati bhi shuru ho jaati thi. Khair, khushi ek aisi cheez hai jispar prashn-chinha laga do to udan-chhu ho jaati hai aur bachpan ke anjaanepan me prashn-chinha sirf kutuhal ke parichayak hote hain.
Pichhale saal humaare vibhaag me bhi shikshak diwas manaya gaya tha. Mukhya aakarshan:
Antakshari, Quiz aur jabardast bhojan. Smriti me bhi bas yahi jhalkiyaan darz hain. Kyunki Shikshako.n ko guldaste aur gift diya jaana to mahaj khaanapoori thi. Waise bhi jinhe samanyataya kayi khoobsurat gaaliyon se nawaaja jaata hai, unhe sammaan bakhshane ke liye dil se izazat badi mushkil hai.
Is saal humaare vibhaag me prashn utha ki shikshak diwas karaya jaaye ya nahi. E-mail bheja gaya. Kuchh vaad-prativaad hua aur phir jab 5 sitambar gujar gaya to humne samajh liya ki- nahi hua. Waise humaare kayi ul-julool diwas manaaye jaate hain, paison ki kabhi kami nahi hoti unake liye par Shikshak Diwas na hua. Dukh nahi harsh ki baat hai. Antakshari, quiz aur dinner ke liye karaana ho to mat karao, kritrim muskaan chehare par laakar guldasta bhentane ke liye mat karao. Agar dil kare to bas ek professor, shikshak nahi kahunga kyunki shikshak aur guru to rah hi nahi gaye hain- rah gaye hain to sirf teacher aur professor jinhe paise ne niyukt kiya hai, bas ek professor ko jaakar prakritik muskaan ke saath Happy Teachers Day kah dena. Jab itna karna kuchh kam lage to Shikshak Diwas manaane ki baat uthana. Unke prati jab tumame prem ka bhaaw aane lage to akele hi Shikshak Diwas mana lena, is poori bhid ko bulaane ki baat mat karna.
No comments:
Post a Comment