Monday, April 30, 2007

Kuchh byproducts mohabbat ke

Kuchh mohabbatein aisi hoti hain jinke products nahi hote, byproducts bahut hote hain...

yahan bhi mamla kuchh aisa hi hai...


Buraayi hi sahi, par charcha to hoti hai apni..

mumkin hai meri yaad yunhi pahunche us tak|


Kal duniya ki mushqilon ka juwaab tha, mohabbat mein sawal ho gaya…

mohabbat ki daastan suni sabne, aaj kar baitha to bawal ho gaya…


Tere hontho.n ki nami se dil ka samandar bhar doonga...

tu mere hontho.n se bas uski pehchaan kara de|


Tu bas mere saath rahe, is duniya ka kya karna hai,

tu meri saansein ho jab, fir kya jeena kya marna hai|

Khushiyon ke ghunghroo chhip gaye hain kahin

gham ki shehnayi ne taan chhedi hai jo aaj|


Aaj muddat baad mehfil me gham ki shirkat hai,

aaj muddat baad mehfil rangeen hui hai…


Ghola hai nasha jo aaj ghamon ne sharaab me

gham me ghol diya hai maine khud ko juwaab me|


Aur ant me bas yahi lagta hai...

Mohabbat ke chausar ki baaziyon se achha to pichhwaade ki tanhayi hai…

na koi dar, na koi ummeed, aur ghamon ki beshart aashiqui bhi hai|

No comments:

Post a Comment